Aaj ek esi trick he jiski madad se aapka sona muksil ho jaayega bahot ese log hote he Jo 5-10-15 duble triple alarm rakhdete baadme Bhi wo nahi uthpaate kyo ki unhe uthne Ka man isiliye nahi hota kyoki wo bistar se khade hi nahi ho paate he. Aaj ye Best Alarm App aapke saath share kar rahahu.
Ye ek esa Android app he Jo aapko bistar se Bhi utha sakta he aur aapki nind ko aasaani se bhaga sakta he aap apni life me Iss app ko jarur follow kare.
Kaise Kaam Karta he Best Alarm App?
To chalo dekhte he ki ye kaam Kaise karta he.
Step 1: sabse pehle to aap Alermy (sleep if you can) alarm ye Iss app Ka Naam he aap directly yahase hi Playstore se download kar sakte he.
Step 2: Ab Iss App ko install Karde ab Kuch niche screenshot Ke saath me aapko share kar rahahu ye trick kyuki aapko jyada samaj me Aaye.
Pehle to aap Add Alarm Ke Upar Click kare.
Step 3: Uske baad Kuch ese option dikhenge
Isme Aapko Alarm off method Option dikh rahahe wahape click karna he isse pehle upar time option Me aap apna time set karle aur Ringtone me Jo ring rakhni he rakhde vibrations Bhi rakhna ho to rakhde tick karke.
Step 4: baadme alaram off method me jaate hi aapko kuch Iss tarike se pupop show hoga.
Ye 5 option mese 4 option ek dam jabardast he.
1.Default
Isme aap simple alarm set kar sakte ho Jo mobile ki system me already hota hi he.
2.Take a picture
Ye ek best option he me he hi set karta hu Isme aap ko Ek photo nikaldeni he baadme aap jab alarm bajega to bistar mese uthke firse uski photo Nikalke dismiss karna hoga warna alarm chaalu hi rahega😅
3.Shake
Ab jab alarm bajta he to aapko shake me no. Of shake Daal dene he ab jab Bhi alarm bajta he to ex. Mene no. Of shake rakha he 50 yaaniki muje 50 baar mere mobile ko shake karna padega tab tak to hamari nind Bhi ud jayegi😂
4.Math Problems
Ye ek achha option he jisme aapko apni capacity Ke hisaab se maths Ka Sam's solve Karne hinge jab tak aap Sam's solve nahi kar paoge tab tak ye alarm bajta rahega.
5.Barcode/QR-Code
Iski madad se aapko kahipe Bhi Barcode ya QR-code ko set kardena he ab jab Bhi alarm bajega aapko uthke usko scan karna padega tabhi alarm bandh ho payega. Ye Take A Picture jesa hi ek option he Jo Bahoti achha he. Lekin Hamare paas esi chize kam he isliye hame 2 option hi choose karna chahiye Jo sabse best he.
To friends ye Thi Aaj ki best tricks Jo Aapko sone nahi degi aur aapka Iss app ki madad se bahot saara time save ho sakta he.
To me Ummid Karta Hu aapko ye Best Alarm App pasand aaya hoga to friends isse share karna na bhule kyuki saaayad Hamare hi family members ko ya Hamare hi frds ko esi paresaani ho to solve ho sake.
hmmm... Good Info
जवाब देंहटाएं