बुधवार, 4 जनवरी 2017

Bluehost Affiliate Marketing Program Se Online Paise Kaise Kamaye

Hello Besters, money kamana to sab ke liye important he lekin ab offline se jyada online money kamane Ka crage dhire dhire badhne laga Hai aur yahape ham baat Karne waale he Bluehost Affiliate Marketing Ke baare me.

Bluehost affiliate Marketing

Online affiliate marketing karke money kamane Ke bahot se source he lekin inmese aur ek kaafi achha hosting provide Karne waala site jiska Naam he bluehost to iska affiliate Kaise kiya ja sakta he uske baare me ham jaanenge.

Bluehost Affiliate Marketing Program Kya Hai?


Ye ek hosting site he Jo kaafi achhi hosting Bhi provide karti he iski hosting ki ham advertising Karte he use bluehost ki affiliates kehte he.

Inki advertise Ke liye aap Isme banners ya link ko apne blog Pe laga Ke kar sakte ho, agar aapki link mese koi hosting buy karta he to uske Kuch % Money aapko diya jaayega.

India Ki Bluehost Affiliate Marketing Se Paise Kaise Kamaye?


To iske liye me aapko simple single step ke saath guide kar rahahu jiski madad se aapko easily samaj me aa jaaye.

Step 1: Sabse pehle to aapko India ki Site Bluehost affiliate page Pe signup karna hoga.

Bluehost affiliate form

  1. Apna email address add Kare.

  2. Aapka First name yaaniki aapka khudka Naam add kare.

  3. Aapki surname add Kare.

  4. Company name me aap aapke blog Ka name add kar sakte ho.

  5. Aap kis jagah Pe rehte ho uska specific address add Kare.

  6. Aapki city Ka name daale.

  7. State yaaniki aapka rajy konsa he wo add Kare jese ki Gujarat, Maharashtra, Punjab etc.

  8. Country me India hi selected hoga agar another he to India select karle.

  9. Zipcode apni city Ka post code ko add karle.

  10. Aapka personal phone number ko add Karde.

  11. Fax he to add Kare ya fir isko blank hi rehne de.

  12. Isme aap apni website (Blog) Ka name add Kare.

  13. Profession yaaniki aap kon ho wo add Kare agar student ho to student aap Isme blogger Bhi add kar sakte ho.

  14. Ab iski Term & Condition ko agree karle yaaniki Tick Karde.

  15. Aur finally Signup Ka button dabake sign up karle.


Step 2: Account signup Karne Pe aapko mail me password set Karne Ke liye link aayega jisko Aapko open karna hoga Jo Iss tarah se dikhega.

Set password

  1. Yahape aapko Apna khudka password add Kare Jo Weak Na ho wo dhyan rakhe jitna ho sake koi Bhi account Ke password strong hi rakhe.

  2. Firse password add Kare Jo aapne upar daale he wahi dusri baar add Kare.

  3. Jo Code aapko picture me dikh rahahe vahi code ko add Karde.

  4. Finally Set Password & Login Pe click Karde.


Congratulation, aapka Bluehost affiliate account complete ban chuka he ab aap money earn karna start sakte ho.

Bluehost Affiliate Banner Code Blog Pe Kaise Lagaye?

Step 1: Sabse pehle to hame banner Ke code chahiye honge so ab sabse pehle aap Banners & Links Pe click Kare

Banner & links

Step 2: Click karke aap niche jaayenge to alag alag types ki aapko banner aur links dekhne ko milegi ismese me niche waale banner ko choose karta hu.

Aapko iske niche ye bhi batayenge ki 1 hosting bechne Pe kitne paise hame milte he.

Get Banner Code pe click Kare.

Get banner code

Step 3: Ab aapko ye code de denge jisko aap copy karle ye code hame blog me add Karne he.

Copy banner code

Blogger Blog Me Banner Kaise Lagaye?

Step 1: ab main chiz aati Hai ki blog Pe Kaise lagaya jaata Hai to sabse pehle ham blogger blog me banner kese lagate he wo jaange apna blogger dashboard login karle.

Step 2: Ab Layout >> Add a Gedget >> HTML/JavaScript me jaaye aur wahape apna banner ka code Past Karke Save Karde.

WordPress Blog Me Banner Kaise Lagaye?

Step 1: WordPress dashboard mese Appearence >> Widgets me jaaye Aur wahape aapko bahot saare option Dikhenge.

Step 2: Jisme aapko Text pe click karna hoga baadme aapko Puchenge ki jahape add karna he jese ki Footer me karna he ya sidebar me karna Hai ya any other.

Step 3: aage aapko code ko past kardena he.

Past banner code in text

  • Title - Isme aap apni aur se title ko add kar sakte ho jeseki Mene Bluehost add kiya he.

  • Content - Yahape hame Banner/Link Code ko past kardena he.

  • Aur Finally Save Karde.


Friends Iss tarah se aap alag alag blog Pe bluehost affiliate marketing Ke banner/link laga sakte ho.

Conclusion


Dosto, aap jaan chuke honge ki ab Bluehost affiliate marketing Kaise kiya ja sakta Hai aur isse paise Kaise kamaye ja sakte Hai.

I hope aapko ye post achhi lagi hogi, achhi lage to Whatsapp, Facebook jese social sites Pe share jarur karna.

0 Please Share a Your Opinion.: