शनिवार, 10 नवंबर 2018

Apne Facebook Page Ka Name Change Kaise Kare

Dosto, bahot baar ham apna Facebook page ka name set kardete he agar wo name agar galat aa gaya ho to change karna jaruri ban jaata he yaa fir jese ki mere facebook page ka name change karna pada.

Mene apni blog ki tag line Jo pehle thi sabhi problems ke solutions to usko mene change kiya to muje Facebook page par bhi change karna pada jo koi ese tag line bhi change karta he to aapko Fb page me bhi name change karna padta he kyuki same name hoga to aapko log pehchan payenge.

Change Facebook Page Name

Me aapko yaha step by step screenshots ke saath guide kar rahahu agar aap ek Android mobile user ho to aap chrome browser ki madad se change kar paaoge kyuki chrome hoga to aap desktop version on kar paaoge taaki desktop tarah ki settings mobile me open ho sake.

Facebook Page Ka Name Change Kaise Kare?

Step 1: Sabse pehle Facebook.com pe jaake apna Facebook account login karle aur jis page ka name change karna chahte ho uss page ko open kare.

Step 2: Aage page open hone Ke baad aapko Iss tarah se dikhega jo niche image me diya he.

edit page name
  1. Page open hone Ke Baad side me aapko About me jaana hoga.
  2. Baadme aapko name ke saamne edit ka option dikhega jahape aapko click karna he.
Step 3: Jab aap edit me jaaoge to ek pop-up page open hoga jese niche image me diya hua he.

Change page name

  1. Current page name ke niche aapko New Page Name ka option dikhega jisme aap ab jo page ka new name daalna chahte he wo daalde.
  2. Finally continue pe click karde aur aage badhe.
Step 4:  Ab ek baar aap check karle ki aapne add kiya hua name sahihe ya nahihe agar sahi add nahi kiya to cancel karke firse add Karde aur now finally Request Change pe click karde.

Check Page Name

Aap ab thodi der wait Kare aur page ko refresh karte rahe thodi der me aapko notification Bhi mil jaayegi aur aapke page ka name bhi change ho jaayega.

Conclusion,


To Dosto, Iss tarah se easily aap Facebook page name change (edit) kar sakte ho jo kaafi kam log jaante honge lekin aapne sikh liya aapka knowlage badhega aur aap kisi dusre ki Bhi help kar paaoge.

I hope ki aapko ye mera article pasand aaya hoga, agar pasand aaya ho to dusre logo ke saath jarur share Kare taaki wo bhi apna Facebook page ka name change karna ho to kar paaye.

9 टिप्‍पणियां:

  1. Nahi Ho raha hai yaar,Maine Pehle se hi 2 bar name change kiya hai,kitne baar hum name change kar sakte h

    जवाब देंहटाएं
  2. bhaai bahot baar change karne se jo hamare likers hai wo sab isme confused ho jaate hai aur isi liye wo jyada baar change nahi ho paata aap ek baar fb help center ki iss tarike ko try kariye aur apna experience jarur share kare. fb help center page req.

    जवाब देंहटाएं
  3. Aapka blog achha hai aur design me aap manu bar ko button me laaiye, matlab ki single button side bar rakhiye mobile view me, aur post ki permalink ityaadi post ko kaise heading title kaise dete hai, ye thoda bajot sikh lijiye...aur keyword kaise use karte he wo bhi sikh lijiye

    जवाब देंहटाएं