शुक्रवार, 23 दिसंबर 2016

Koi Bhi WordPress Blog Ka Theme Aur Plugin Ka Details Find Kaise Kare

Dosto, bahot se ese blogger honge Jo apne wordpress blog me use hote hue theme aur plugins Ke baare me details ko share nahi Karte so hum unki details find Kaise kar sakte he uske baare me Iss post me Jaanege.

WordPress theme & plugin details find Kaise kare

WordPress blog ki theme konsi rakhi he wo find Karne Ka sabse best tarika yahi he aur Isme Aapko site Ke owner ko Bhi nahi puchna padega ki aap konse theme aur plugin Ka use Karte ho.

Top WordPress Blogger hote he unki aap details ko nikalna jarur pasand karoge kyoki uni mese hame sikhna pasand hota he wo ese hi top Pe nahihe unhone bahot mehnat ki He apna success paane Ke liye.

WordPress Blog Ki Theme Aur Plugin Details Find Kaise Kare?


Dosto inke liye hum ek site Ka use karenge jiski madad se ham easily wordpress site ki theme aur plugin ki detail nikaal sakte he yahape me aapko step by step images Ke saath samja rahahu taaki aap aasaani se samaj Paaye.

Step 1: Sabse pehle to Theme Detector site me jaaye Jo mere paas do best site he Jo aapko yaha Bata rahahu ek he What Wp Theme Is That ye kaafi achhi site he aur dusri he ScanWP ye Bhi achhi site he.

Step 2: Dono ki method same he lekin site alag alag he me yahape aapko What Wordpress Theme Is That Ka tutorial Bata rahahu jisko aap open Kare.

Open Karne Ke baad site Ka main page khulega Jo niche image me diya hua he.

Add site URL

  1. Sabse pehle jis blog Ke aap theme aur plugin find karna chahte ho uska URL add Kare.

  2. Aur baadme Search Ke icon Pe click Karde.


Step 3: Thodi der page load hoga aur baadme aapko Iss tarah se theme detail Bhi dekhne ko milega.

Show Theme Details For BHT

Theme details Ke niche niche aap chale jaaoge to aapko plugin Bhi dekhne ko milenge ki konse konse active he jese niche image me diya hua he.

Shoe active plugins on BHT

Lekin ha aapko sabhi plugins nahi batayenge Kuch hi plugins show Karte he iske liye aap ScanWP site Ka use kar sakte ho.

Conclusion,


To Dosto Iss tarah se ha koi Bhi wordpress blog ki theme aur plugin ki details find kar sakte ho Jo ek knowledge badhane Ke liye he Jo sayad kam log jaante honge.

I hope ye mera article aapko achha lagega, achha lage to share jarur kare.

8 टिप्‍पणियां:

  1. vivek bhai bahut hi kaam ki post hai thanks for this information and keep it up

    जवाब देंहटाएं
  2. bhai aap ne ye heading kaise likha hai blue background me.. WORDPRESS BLOG KI THEME AUR PLUGIN DETAILS FIND KAISE KARE? aur isme icon kaise lagaya hai..? plz mujhe bhi bata do.

    जवाब देंहटाएं
  3. Bahot bahot dhanywaad Qureshi Ji aapka...hamari post padhne Ke liye aur blog Pe aane Ke liye..

    जवाब देंहटाएं
  4. Thank You Bhai Rishikesh Keep Visiting...and Subscribe jarur Kare..

    जवाब देंहटाएं
  5. Bhai ye headings ko Mene CSS coding se customize kiya hua he me iske baare me jaldi hi post likhne vaala hu so keep visiting...

    जवाब देंहटाएं