सोमवार, 12 दिसंबर 2016

WordPress Yoast SEO Plugin Setup Kaise Kare [Set All Settings]

Hello Besters, ye Jo post he WordPress waalo Ke liye he Jo wordpress me blogging Karte he aur Jo abhitak yoast SEO plugin ko setup nahi kiya hua he jinko kam pata chalta he unke liye kaafi achhi aur easy tricks he Jisse aap apne blog me Yoast Plugin ko setup kar paaoge.

How to setup WordPress yoast SEO plugin

Yoast SEO Plugin Ke Baare Me Jankari

Yoast Ke baare me abhitak bahot se log honge ki nahi Bhi jaante honge unko easily batadu to Yoast SEO plugin ek simple aur easy way to make your blog SEO Friendly yaaniki aap apne WordPress blog ko easily SEO Friendly bana sakte ho aur fast high search ranking pe laa sakte ho.

WordPress me SEO plugin me Yoast SEO sabse best plugin maana jaata he jisko bahot se top bloggers use Bhi kar rahehe jeseki Hamare India Ke top 10 blogger mese ShoutMeLoud, baat Kare to wordpress sikhne Ke liye best blog wpbeginner Bhi ye SEO plugin Ka use Karte he.

ye plugin Karib 1+ millions blog Pe active Bhi he to aap bhi samaj sakte honge ki ye aapke blog Ke liye Bhi kitna important ho sakta he.

Install Yoast SEO Plugin - Click Here

Yoast SEO Plugin Konsi Services Provide Karta He?


Sabse Pehle To hame ye jaan Lena chahiye ki hume yoast SEO plugin konsi services provide karta he aur aap iss plugin ki madad se konse SEO me Improve la sakte ho.

  1. Post likhte vakt hume Post Ko Perfect SEO Friendly Banane me Madad karta he.

  2. Hamare blog ko Google webmaster tool, Bing & Yahoo jese search engine me direct submit & verify kar sakte he.

  3. Person info & Compony info ko set kar sakte he jisme aap site ka alternative Bhi set kar sakte he.

  4. Post aur pages Ke liye Meta robots index / noindex set kar sakte he.

  5. XML Sitemap Banane me Madad karta he aur uski link generate karta he.

  6. Robot.txt & .htaccess file ko edit kar sakte ho.

  7. Aapke blog ko direct search console se connect kar sakte ho.

  8. Agar koi aapki post copy karta he to uski backlink aapko hi milti he jise aap ke blog pe asar kam padta he.

  9. Apne saare Social media accounts ko ek saath submit kar sakte ho.

  10. Search engine Pe apne post ki date ko hide kar sakte ho.

  11. Advance permalink control system Bhi he.

  12. Pages ki advance settings

  13. Advance security

  14. Dusre plugin Pe SEO important karne ki Bhi settings he.

  15. Yoast SEO Ka premium version Bhi he Jo aur Bhi new service provide karta he.


To friends bahot saari service ye ek hi plugin provide kar rahahe to aap soch sakte honge ki aapke blog Ke liye Bhi kitna important he isliye to itne log Iss free services ka laabh le rahehe.

WordPress Yoast SEO Plugin Use Kaise Kare? Setup Kaise Kare?


To ham ab main point Pe aate he ki ab yoast seo plugin ko setup Kaise Kare taaki apni site me high Ranking traffic aa sake aur Google aur other search engine me high rank pe Aaye.

Yoast SEO Plugin Setting Setup Kaise Kare? Complete Guide


Me aapko screenshots Ke saath samja rahahu setup karna taaki aap aasaani se isko samaj paao aur agar aap already koi SEO plugin Ka use kar raheho to use export karke yoast seo plugin me install kardo taaki aapki settings save rah jaaye.

Yoast SEO Dashboard


Step 1: Fuatures Settings:

  1. First to agar aapne pehle yoast  seo plugin install nahi kiya to install karle

  2. Baadme SEO me jaake uska Dashboard open Kare.Advanced setting page enable

  3. Dashboard open Karne Ke baad Advanced Setting Pages Ko Enable Kare enable ham isliye kar rahehe kyuki isse iske advance features enable honge.

  4. OnPage.org jo daily search engine ko check karta he Jo aapko notify karta he ki page index he ki nahi.

  5. Ye third-party Ke links paane Ke liye he.

  6. Aur last me finally save karde.


Step 2: Your Info (Company Info)

  1. Company Info ya fir Your Info likha hoga wahape click Kare.Your info (Company Info)

  2. Agar aapki company ki site he to company name aur company logo set Karde Aur agar aapki personal site he to person set kare.

  3. Aur company he to company name and logo daale aur person ki hi site he to aapka name add kare.

  4. Baadme save changes Pe click karke save karde.


Step 3: Webmaster Tools

  1. Bahoti important chiz he sayad WordPress Blogger isko jaante hi honge simply webmaster tools pe click karna hogWebmaster tools verification

  2. Jitne Bhi aapko search engine dikh rahehe usme aap verify kar sakte ho aur webmaster tool ko side me click karke directly open kar sakte ho.

  3. Site ka verification Karne Ke baad save karde.


Step 4: Security Setting

  1. Security feature ki madad se jab ek se jyada authors hote he to Kuch Bhi kar sakte.Yoast SEO Meta box

  2. agar aapko aapke author pe believe nahihe yaaniki viswas nahi he to aap enable kar sakte ho agar ek se jyada author nahi he to disable hi rahene de.

  3. Finally ab save changes karke save karde.


Titles & Metas


Step 1: General Setting

  1. Jisme pehle to aap general me jaaye jisko hume edit karna he.General settings

  2. Aage Title Separator Ka option aayega jisme title separator Ka matlab hota he jab aapki post search me aati he to uske saath aapki site ke title aur post title ke bich me rehta he.

  3. Readability analysis jisko enable Karne se aap post likhte vakt aap check kar sakte ho ki Apki post ki readability Kesi he.

  4. Keyword analysis enable karke aap post me likhte wakt focus keyword aur keyword ko manage kar sakte ho.



Step 2: Homepage

  1. General setting complete ho jaane Ke Baad direct aap Homepage Pe Click Kare.

  2. Title template ko edit karke aap apni site Ka full title ko add Kare jese niche screenshot me diya hua he.

  3. Meta description template me aap apni site Ke baare me short detail daale jese Mene meri site Ke liye daali Hui he Jo aap screenshot me dekh sakte ho.Homepage settings

  4. Aage aapko agar save karna he to save karde.


Step 3: Post Types

  1. Homepage ke baad direct Post Type pe click kare.Post types SEO setting

  2. Post type Pe click Karte hi Iss tarah Ka page open hoga jisme first to Post Ka hoga usme title template ko default hi rehne dijiye kyuki aapki site ki post search me aayegi to with blog title aayegi hame hamari post ko index karna he matlab index kijiye aur post ki data hide rakhni he to hide rakh dijiye

  3. Pages me bhi title template same rehne dijiye aur unki Meta box ki setting Bhi same screenshot me bataya he wese hi kijiye agar aapko pages search me show nahi Karne to Meta robots ko noindex kardijiye.

  4. Usi tarah media me Jo aap photos/videos upload Karte ho usko Google me laane Ke liye screeshot me do gai he usi hisaab se option set kare.

  5. Aur last me finally save karde.


Step 4: Texonomies




  1. Post types set Karne Ke baad directly Texonomies pe click Kare to Kuch Iss Tarah Ka page open hoga.Texonomies settings set

  2. Agar Iss option me noindex aur hide rakhe to best rahega kyoki category Google me show hone Pe Hamare visitors ko hamari site Pe post Dhundhne me muskeli badh jaati he isliye ye hide aur noindex rakhe to behtar he.

  3. Tags ko Bhi same process laagu padti he isliye unki setting Bhi same set Kare.

  4. Format waale ki settings ko default hi rehne de.


Step 5: Archives

Archive setting me aap Author Archive Aur Date archive ko hide aur show kar sakte he.

  1. Archive option me jaaye aur niche aap author archive me enable kare aur Meta Robots me noindex set Kare kyoki aap agar akele author ho to sabhi post me same author content dikhega Jisse duplicate content ki problem aa Sakti isliye ise noindex rakhe

  2. Date archive ko default hi rehne de aur me suggest karunga ki isme bhi noindex set kare.Archives settings


Step 6: Other

  1. Pehle to direct other Pe click Kare.Other setting

  2. Subpages of archives me noindex set Kare kyuki agar aap isko index me rakhoge to search engine me aapka page navigation show hota he jeseki besthinditricks.com/page/2/ to siko noindex set karo to behtar rahega.

  3. Meta keyword tags ko disable Karde kyuki aapki meta tags keyword search me show naa ho.

  4. Google hamari site description ke liye DMOZ directory Ka use karta he aur uski description ko search me laata he isliye DMOZ directory aapke page me set n ho isliye aap disable karde.

  5. Finally Iss last setting ko Save Changes Pe click karke save karde.


Social


Social me social site ki profile ko apne site me set Karne Ka hota he jiski madad se aap apne site ki Rank me Improve kar sakte he.

Yoast SEO plugin Ke dashboard mese ab social Pe click Kare jisme aapko alag alag types ki social settings dikhegi.

Accounts

Agar aap accounts me jaake aap saare accounts Ke Username / Links add kardete ho to aapko Dusre options ko edit Karne ki jarurat nahi padne waali isliye jitne Bhi accounts he social site pe uske saamne add Karde.

Click on account

Twitter Ka username add karna jese Mene add kiya he wo aap screenshot me dekh sakte ho baaki sabme apni profile Ka link / URL add karna he aur baadme save karde.

Baaki ki settings me aapko changes Karne ki jarurat nahi he add open graph Meta box enable kar sakte ho aur detail fill kar sakte ho aur last me google+ me apna URL add kar sakte ho baaki aapki Marji he wese to hamne sabhi profile add kardi he.

XML Sitemaps



General Setting

Ye Sitemap ko generate Karne Ka sabse aasaan tarika he jiski madad se directly sitempa generate karke search console me add kar sakte ho.

Yoast XML Sitemap general

  1. XML sitemap functionality Sabse Pehle enable kare taaki sabhi feature show ho sake.

  2. Your XML Sitemap me aap XML sitemap Pe click karke directly apni site Ke Sitemaps URL generate kar sakte ho aur search console me submit kar sakte ho.Generate XML sitemap

  3. Last me Sitemap pages number add karke save karde.


User Sitemap

User Sitemap setting me aap Author / User Sitemap ko disable hi rehne de kyuki Sitemap me author archive ya user archives Ka link Na Aaye aur direct aapki sabhi post Ka archives Aaye isliye disable rehne do to behtar he.

Userr sitemap

Post Types Setting

Post types setting me aap post, pages aur media attachment ko Sitemap me set kar sakte ho.
Posts (post)

Post ko Sitemap me add Karne Ke liye in Sitemap rakhe taaki aapki sabhi post robot Ke dwara URL add karega.
Pages (pages)

Pages agar aap Sitemap me add karna chahte ho to In Sitemap set Karde Taaki aapke pages Sitemap me robots dwara add hote jaayenge.
Media (attachment)

Media Jo aapne apni site me daala hua he jese ki photos, videos jisko sitemap me not in Sitemap set Kare Jo Sitemap me index Na ho.

Post types sitmap setting

Excluded Posts

Excluded post me ham agar koi post Sitemap me add karna nahi chahte to USS post ki ID daalke post ko sitemap me add hone se rok sakte he.

Excluded posts

Post ID find Karne Ke liye aapko Jo post ko Sitemap me submit hone nahi dena usko edit Kare edit me option me jaane Ke Baad upar URL me aapko post ki ID mil jaayegi for ex - http://besthinditricks.com/wp-admin/post.php?post=1549&action=edit jisme 1549 wo aapki post ki ID he.

Taxonomies

Isme aap chaaho to Sitemap me agar aapko tags, category & post format ko add karna he to aap Isme In Sitemap kar sakte ho agar nahi karna to not on Sitemap set kar sakte ho.

Taxonomies Sitemap setting

Ye taxonomies XML sitemap ki last setting Thi.

Advanced


Breadcrumbs

Breadcrumbs-setting

Breadcrumbs aapki post ki links hoti he usme aapki Google search me Catagorys ko show karta he jiska koi faayda nahihe wo apne Pe depend karta he enable karna he ya disable.

Permalinks


Permalink setting for seo

  1. Permalinks Pe click Kare click Karne se pehle dusri setting save karle.

  2. First Jo he wo aapke URL me category ko add Karne Ke liye diya gaya he agar aapki post Ke URL me category ko rakhna he to aap keep Kare nahi rakhna to aap remove ko set Karde.

  3. Parent post URL se Redirect Karne Ke liye he isse aap No Redirect hi rehne de.

  4. Agar aap stop word yaanki shor word he usko URL mese remove karoge to behtar SEO slug yaaniki post Ka URL rahega for example - Besthinditricks.com/blog-pe-adsense-ko-approve-kaise-kare/ to Isme pe, Ko ye dono stop word he.

  5. Ye comments Ke liye he jisme JavaScript based he Jo comment search engine me crawl Karne me improvement laayega isliye keep hi rehne de.

  6. Isme agar aapki URL ki length bhadh jaati he to isko clean permalink Banane me Redirect karta he jiski jarurat nahihe kyuki ye Hamare URL hamari Marji se Rakhte he isliye No Redirect hi rakho to behtar he.


RSS

RSS feed setting

Rss feed setting ko Aap default hi rehne de agar aapne change kar rakha he to mera suggestion he ki wapas se aap "Content to put after each post in the feed" Ke saamne ye waala copy karke add Karde - The post %%POSTLINK%% appeared first on %%BLOGLINK%%.

Isse aap RSS feed ko jyada improvement kar sakte ho aur Jo Bhi aapki post ko copy karta he uski backlink automatically aapko receive ho jaati he aur Google ko Bhi pata chal jaata he ki original post aapki hi he.

Tools


Tools me basically 3 tools diye hue hote he Jo aap niche screenshot me dekh sakte ho.

Tools yoast SEO plugin

Bulk Editor

Isme aap apni post Ke titles aur Description ko edit kar sakte ho wo Bhi without editor me jaake.

File editor

File editor ki madad se directly .htaccess aur robot.txt file edit kar sakte ho aur new robot.txt file create Bhi kar sakte ho.

Import and Export

Ye feature ki madad se aap yoast SEO ki tarah Dusre SEO plugin ki settings ko yahape directly setup kar sakte ho ya fir Dusre plugin me import kar sakte ho backup leke.

Search Console


Search console yoast plugin

Isme aap get Google authentication code Pe click karke site Ke code ko authentication Karne Ka rehta he jisme aapko Google search console se allow Karne ko bolenge baadme code denge jisko copy past karke authentication pe click karde.

Authentication ho jaane Ke Baad aap apne search console ke data's ko dekh sakte ho.

To Dosto ye the yoast SEO plugin Ke feature Jo sab Kuch free me hi the aur aapko feature chahiye to aap go premium me jaake buy kar sakte he lekin new bloggers Ke liye itne feature bahot jyada ho jaata he isliye Premium leni ki jarurat nahihe.

Yoast SEO Plugin Ko Post Likhte Wakt Use Kaise Kare?


Yoast SEO plugin ko install & Active Karne Ke baad post editor me jaaye ya fir new post likhne Ke liye New post Pe click Kare to aapko Iss tarah Ka box dikhega Jo aap niche screenshot me dekh sakte ho.

Yoast SEO Box

Aap Isme dekh sakte ho ki Alag alag tarah se color code diye hue hote he Jo hame suggest Karte he ki aap kya kya post me editing Kare kya improve laage taaki aapki post aur SEO Friendly ban Paaye.

Focus keyword me aap Jo main keyword he usko use Kare jese Mene Iss post me focus keyword rakha he Yoast SEO Jo Mene uske box me Bhi add kiya he.

Aap Isme do chize check kar sakte ho ek he readability aur dusri chiz he Jo SS me he jiska Naam he keyword.

Keyword me aapko title, description, slug (permalink), keyword density, title parameter, sabhi ko improve Karne me Madad karega

Readability post ko easy and best Banane Ke liye he jisme aapko post short and best improvable likhne me Madad karta he.

Conclusion,

Dosto ab aapko yoast SEO plugin setup & configure karna images Ke saath samjaya he, to aap ab jaan chuke honge ki SEO Ke liye ye kitna important ho sakta he.

I hope aapko ye post pasand aayi hogi, agar pasand aayi hoto share jarur kare.

6 टिप्‍पणियां: