मंगलवार, 24 जनवरी 2017

Movie Subtitles Directly Download Kaise Kare Use VLC Media Player

Hello Besters, Movie dekhte he to language koi aur jo to Movie Subtitles Ka use karke ham uss movie ko samj sakte hai.

Download movie subtitles directly

Aapne aksar dekha hi hoga ki movie chal rahi hoti he aur niche ki aur unke bole jaane waale words ya fir converted words likhe hue aate he Jisse unki ham language ko samaj sake.

Movie subtitles ko hum download Karne Ke liye akshar Google me search Karte he fir koi website waale thik se Rakhte he nahi bhi rakhte to download karna wo sab muskil ho jaata Hai.

Movie Subtitles Ko Directly VLC Media Player Ki Madad Se Download Kaise Kare?


Yahape me aapke saath esi ek best trick dene waala hu jiski madad se aap VLC media player mese directly movie subtitles ko download kar paaoge Jo bahoti easy he.

Step 1: First to aap Iske liye VLSub extension download karna hoga.

Step 2: Ab Jo zip compressed file he usko aapko Extract karna hoga aur uske folder mese aapko "vlsub.lua" name ki ek file hogi jisko find karke usko Copy karna Hai aur location - C:Program Files (x86)/VideoLAN/VLC/lua me jaake paste kar Dena hai new folder new extension Ke saath. Niche aap image me dekh sakte ho.

Paste vlsub file

Step 3: Jo Bhi Aap movie Ka subtitles download karna chahte ho use VLC Media Player me open Kare aur usme View option Pe click Kare aur wahape aapko VLSub Ka option dikhega uspar click kare.

View VLSub Option

Step 4: Usme aapko Search box me movie Ka title add kardena he aur search by name pe click kardena hai.

Search movie name

Step 5: Jab Aap Search kardoge to alag alag Movie Subtitles aapke saamne hogi Jo bhi aapke movie Ka desired title he usko select karle aur Download Selection Pe click Karde.

Select desire title

Final Words,


To Dosto hamne dekha ki kis tarike se directly VLC media player ki madad se Movie Subtitle download kar sakte he wo bhi automatically.

I hope friends, aapko ye post achhi lagi hogi to Whatsapp Aur Facebook Jese Social Media Par Share Jarur Kare.

4 टिप्‍पणियां:

  1. Bhai mene yoast seo setting kar liya hai aur search enging ka setting bhi kar liya hai par abhi bhi google me mere blogger site ka purana post link dikha raha hai aur unpar click karne se 404 error dikha raha hai, kya karu help me bro

    जवाब देंहटाएं
  2. Please contact on Fb page, me aapko Code dunga jisko .htaccess me add karna Hai Jisse Redirect ho jaayega.

    जवाब देंहटाएं
  3. Nahi bhai ye PC trick hai pc par hi kaam karti hai.

    जवाब देंहटाएं