गुरुवार, 11 मई 2017

Akismet API Key Ko Free Me Setup Kaise Kare? Wordpress Blog Ke Liye

Hello besters Namskar, Akismet wordpress blog ke liye kaafi achha plugin he jo spam comments ko rokta he. Jo pehle direct free sign up karke activare ho jaata tha lekin ab Akismet API key add karna padta he.

Free Akismet API key

Spam comments tab badhti jab aapka blog live hota jaata he internet ki duniya me achha naam banata hota he yaa bana liya hota he akismet ek kafi achha plugin he jisse aap comments ko rok sakte ho.

Ham iss post me dekhenge ki Akismet API key ko new akismet installation pe kaise nikaala jaa sakta he.

Pehle dosto sing up karne se hi hamko free api key mil jaati thi jisme direct button diya hua hota tha free sign up jo ab change ho chuka he.

Akismet API Key Free Me Setup Aur Activate Kaise Kare?


Jab aap wordpress akismet plugin ko install karke active kardete ho to baadme aapko bolega ki aap api key order karke active kar sakte ho to chaliye dekhe kaise free me order kare.

Step 1: Plugin install karne ke baad Active karde aur nuche diye hue images ka instructions follow kare.

Connect with jetpack

  1. Jetpack me jaake Akismet pe click kare aur ab akismet plugin open hoga.

  2. "Connect with jetpack" pe click kare. Agar account nahi banaya to sign up karke pehle account banale.


Step 2: Yahape Aapka Account connect hone pe site pe activate karne ka option mangega jisme aap "activate this site" pe click kare

Agar site add nahi ki hui to pehle url daalke site ko add karde.

Activate this site

Step 3: Aage Aapko alag alag uske plans batayenge usme aapko Basic plan choose karna he agar free me Akismet API key kharidni he to.

Choose basic plan

Step 4: Ab yahape aapko kuch tap karke rakha hua price batayega jisme aapko usko tap karke khichke 0$ value set kardena he aur "Create Subscription" pe click kardena he.

Create Subscription

  1. Set Value at 0$

  2. Click on "Create Subscriptions"


Akismet plugin activated

Finally dosto aapka Akismet Basic plan activate ho chuka he aur yahape Aap Get it pe click karde.

I hope friends ke aap Akismet API key ko free me buy kar paae honge agar kuch problem aati he to jarur comment kare.

2 टिप्‍पणियां:

  1. Sir aapki theme bahut hi acchi hai kya aap mujhe apni theme send kr skte ho. Waise kon si theme hai ye

    जवाब देंहटाएं
  2. Bhaai Meri Theme mts_schema he...Aur ye ek paid theme lekin mere ek friend ne di he..aur bhaai ye mene customize ki he..aur aapko mene mail kardiya he.

    जवाब देंहटाएं