Read More :- Blogger ke liye Android Apps
Mobile bahot baar jyada hang hota he uske bahot resions ho sakte he lekin yahape hum mobile hang hone se bacha sakte he Jo kaafi achhe tarike se mobile ko safe bana sakte he.
- Screen Recorder : Without Root Android Ki Screen Record Kaise Kare
- Android Mobile Ke Pattern Lock Ko Reset Kaise Kare
Android Mobile Hang Hone Se Kaise Bachaye?
1. Pehle To aapke mobile me Virus nikalne wale apps aur cleaning waale Jo apps installed pade he use to pehle uninstall kardo ye hi apps aapke mobile ko jyadatar hang karte he.
2. Ab aapke mobile me bahut dino se jo apps pehle se hi install pade he aur use aap bahoti dino se use nahi kar raheho to wese apps ko aap uninstall kardo kyuki aksar un apps ka load aapko pata bhi nahi chalega ki storage badh jaayega aur aapka mobile hang kyu ho rahahe.
3. Apke Mobile me kam use karne waalo apps ko 'Force Stop' karte raho kyuki running karte he to bhi system pe dabaaw badh jaata he
4. Agar aapko thoda sa time milta he to apne mobiles apps ke 'system data clear' jarur kare taaki load kam ho jaaye aur mobile hang n ho.
5. aapne agar naya phone liya ho to aapke mobile me jyada apps install na kare kyuki aisa karne se load badhta he aur mobile hang jaldi hota he.
6. Jab bhi aap aapke mobile me apps install karte ho to us apps ko aap Internal memory me install karne ki jagah aap use Memory card me install kare taaki koi virus bhi aa jaye to mobile me kam asar hoga aur agar phone memory me virus aa jaye to mobile ko bahoti asar kar sakta he.
7. Ho sake tab tak aapke internal storage ko clear hi rakhna padega aur aapke memory card me bhi space rakhna jaruri he jese ki mere paas 32 GB ka memory card he to usme bhi 2-3 GB tak khaali rakhna hoga.
8. Apke mobile ka mobile data on karte he ya internet on kare tab aapko sabhi notifications ko aane dena hoga Jese ki whatsapp Notifications, Fb, Hike Etc ye sab notificaions aa jaaye baadme hi kuch open kare aur pehle saare notifications ko open karke dekh le kyuki baar baar aapko disturb n kare.
Read More:- Blogger Me Meta Tag Discription Add Kare
9. Aap jab bhi aapke Mobile ko PC se connect karaye tab use scan karna n bhule tab aap Internal memory aur Memory card dono ko scan kare.
10. Aur Aapke paas Uc Browser, Google Chrome, Morzilla Firefox ye sab high Level ke aap apps use karte Ho to aapke mobile ko ye bahoti hang kar sakte he isliye usko kuch kuch bich waale time me uske Clear Cookies, Clear History, Clear data ye sab karna n bhule taaki aapke Mobile ka load kam ho paaye aur aap achhe se is sabhi apps ko chala sako.
11. Apne Mobile Me koi Luncher, Apps lock karne waale apps, Hide karne Waale Apps, Clean karne waale apps etc ye sab n rakhe ye apps mobile pe bahoti dabaw daalte he aur ese apps se aapka mobile jaldi hang hota jaata he.
(iske badleme aap Lock rakhne ke liye apke mobile ki system use kare jo Pin lock, Pattern lock, Face lock etc ye sab use kare.)
12. Agar aap koi esa apps use karte ho jisse aapka mobile garm ho jaata ho to samaj lo ki wo apps ka load bahot he to us apps ke System Data jarur clear karte rahe.
13. Ads Waale Apps kam use kare jahape Ads aa jati he apne aap kuch n kuch download ho jaata he apne aap HOME screen pe dusre apps ke icons aa jaate he ye sab.
14. Jyadatar apps aap Play Store mese hi download kare taaki aapke mobile ka Fixed Version bhi aaye aur safe apps mil sake.
15. Agar aapka Mobile Bahot sa Hang hota he to uska backup leke use restore karde (NOTE:- Restore karne Ke baad sare apps nikal jaate he aapka mobile Pehle ke jesa ho jaata he)
Conclusion
Ye 15 Best tips aur tricks he jisse aap mobile hang hone se Rok sakte ho aur saath saath apne Mobile ki bettery life bhi badha sakte ho aur apne mobile ki bhi life badha sakte ho aur aapko without koi apps apne Mobile ko Hang hone se Easily Rok sakte ho.
I hope aapko ye Artical achha laga hoga agar achha lage to share jarur karna.
Prepaid and Postpaid Mobile Tariff Plans, Special Tariff Vouchers (STV), Rate cutters, Topups and Recharge Vouchers from Videocon in Madhya Pradesh, Haryana, Punjab, Gujarat.
जवाब देंहटाएंprepaid recharge
Aap Iss type ki comments Na daale.
जवाब देंहटाएं