रविवार, 1 जनवरी 2017

Google Tricks - Google Search Ki Hidden Aur Secret tips

Hello Besters, bahot si esi Google Tricks He jisko aap Google search Ke dwara alag alag prakar Ka fun aur enjoyment kar sakte ho.

Google Tricks search

Ham log jaante he ki Google sabse best search engine maana jaata he bahot si inki hidden secrets tips Bhi he Jo bahot kam log jaante honge.

Yahape ham dekhenge ki sirf Google search me ese words ko add Karne Pe Google kis tarah Ka magic dikhata he bas aapko Google search engine me Jo me words niche Bata rahahu unko copy past Karne he.

Google Tricks - Hidden & Secret Google Search Tricks


Isme aap agar practically try karoge to aur maja aayega kyuki ye bahoti interesting Google search tips he to friends mera suggestion he ki aap practically Kare.

Aur agar aap ek Android mobile user ho to Google Chrome me desktop version ko enable karke baadme Google.com pe jaake try Kare tohi sabhi Google Tricks work karegi.

1. Zerg Rush

Zerg Rush

Google Pe "Zerg Rush" search Karne par aapko dikhega ki Jo Kuch search result me he wo side mese aur upar se Kuch Rings aake tod deti he ye kaafi funny type Ka he Jarur try karna.

2. Distance And Flights Between Cities

Distance and flight details

Aap upar image me dekh sakte ho ki mene simply Google me search kiya "Ahmedabad to Bombay" to iski pure ki Puri list yaaniki iska distance kitna he flight me kitna time lagega kharcha kitna hoga.

Aur niche aap dekhoge to bus, car, aur railway Ka Bhi diya he ki kitna time lagega junction konse honge etc to friend dekha aapne ki kese ham alag alag jagah Ke direct distance aur times ko find kar sakte he.

3. Get Direct Definition Use Google Tricks

Get definition

Aap koi Bhi chiz ki definition directly paana chahte ho to Iss tarah Ka search Kare for example - "Define Engineer" Mene upar image Ke mutabik search kiya aap dekh sakte ho ki uski Puri details hame Iss tarah se Google Ne define kardiya.

Ye kaafi achha tarika he Jo students he unke liye definitions ko directly paa sakte he wo bhi sirf Google search Ke dwara.

4. Atari Breakout

Atari breckout game

Ham jab Google Pe "Atari breakout" search Karte he baadme hamko Image Search Me jaana hota he image search me jaaoge to ek game open ho jaayegi ye dekhke thoda muje Bhi achraj hua.

5. Google Pacman

Google pacman game

Search engine me "Google pacman" search Karne par ek bahoti popular game aayegi wahape aapko ek play now Ka option dikh raha hoga jisme click karke aap uss game ko khel sakte ho.

6. Flip a coin

Flip a coin

Google Pe aap jab "Flip a coin" search karoge tab aapko coin jab ham match ya Kuch shart Pe uchaalte he tab head aur tail ese iske do padkhe hote he so aap Google search ki madad se ye coin ko uchaal sakte ho.

7. Roll a die

Roll a dice

Google me aap Doll a die search Kare ya fir roll a dice search Kare Isme aap roll it pe click karke alag alag paase ko roll kar sakte ho ye coin roll type ki hi Google tricks he.

8. Heart Graph

Heart graph

Esa sunke to aapko Kuch alag hi laga hoga aap dekh sakte ho heart graph Google search pe kis tarah se dikhta Hai iske liye aapko Google search me ye search karna padega "sqrt(cos(x))*sin(300x)+sqrt(abs(x))-0.7)*(4-x*x)^0.01, sqrt(6-x^2), -sqrt(6-x^2) from -4.5 to 4.5" isko aap copy past karke search kare.

9. Google in 1998

Google Pe "Google in 1998" search Karne Pe aapko Google 1998 ki saal Ka dikhega jab Google 1998 ki saal me Isme ham search Karte the to search engine kis tarike se hame website aur post ko show karta tha wo dikhaayega.

10. Barrel Roll

Kaafi amazing Google Tricks mese ye ek he aap "Do a Barrel Roll" ko Google search me enter karoge to aapka pura page 360° pe rotate hoga ye kaafi achhi trick he aur kaafi chokane waali tip he.

11. Forecast

Weather search

Iski madad se aap online koi Bhi city Ka weather check kar sakte aapko karna sirf itna he ki Google me "Forecast" aur saathme "city name" jese Mene upar image me daala hua he aap dekh sakte he ki kis tarah se day by day wo weather dikha rahehe.

12. Animal Sounds

Animal sound with photos

Kaafi amazing ye Google Tricks ki sabse second number ki sabse best trick he Jisme aap Google Pe "Animal Sounds" ko search karke Online sound koi Bhi prani Ke sun sakte ho jese aap image me dekh sakte ho.

13. Check Population

Check population

Aap Google Pe search karke apne country ya city ki population check kar sakte he jeseki aap image me dekh sakte ho Google me aapko "Population" Likhke apni Saathme "City ya Country ya fir state Ka name" likhna Hai jiski aap population jaanna chahte ho.

14. Google Calculator

Google calculator

Agar aap Google Pe search Karte ho "Calculator" to aapko display Ke upar search me calculator dikhega jisme aap online google search ki madad se ganatariya kar sakte ho.

15. Set Timer

Set timer on google

Ye kaafi achha ek aur search tool he jiski madad se ham stop watch aur time ko set kar sakte he isko try Karne Ke liye aap Google Pe "Set Timer" Search karke dekh sakte ho.

16. Sports Schedule

Sport schedule

Friends sports dekhne me to sabhiko interest hota he aur iska proper schedual aapko Google Bhi batata he jese ki apko search karna he cricket Ka schedule to "cricket Schedule" Iss tarah aap search karke koi Bhi match Ka schedule find kar sakte ho.

17. Conversions

Aap Google Tricks ki madad se dimensions, distance aur degree jesi bahot si chizo ko alag alag standard me convert kar sakte ho.

Agar aap Dollar ko INR me convert karna chahte ho to "Dollars to INR" type Karne Pe hi iska convert kiya hua page open ho jaayega.

Google conversions

Koi dimensions ko convert karna chahte ho jese ki agar muje meter ko millimeter Me convert karna he to me type karunga "Meter to millimeter" aur alag alag converters Ka ham use kar sakte he.

18. Sunrise And Sunset Times

Sunrise aur sunset time

Aapki city Ka agar aap aajka suraj kab uga aur kab duba yaaniki sunrise aur sunset kab hua usko jaanne Ke liye "Sunrise" ya fir "Sunset" aur baadme "city name" Likhke search kardena he.

Conclusion


To Dosto Iss tarah se aap amazing Google Tricks ki madad se alag alag new chize jaan sakte ho aur fun aur enjoyment Bhi kar sakte ho.

Friends aapko ismese Kuch knowledgable laga ho to Whatsapp aur Facebook jese social medias Pe share jarur Kare.

2 टिप्‍पणियां: