बुधवार, 10 जून 2020

Google Search Console Me Site Crawl Errors Fix Kaise Kare?

Hello Friends agar aap blogger hai to ap jante hai ki seo Apke blog ke liye kitna jaruri hai or kai bar bahut si backlink banane ke baad bhi Google search se blog me traffic bahut kam aata hai kai logo ko iska reason pata nahi hota par ye apke google search console me Site crawl errors ki vajah se ho sakta hai jise fix karna jaruri ban jaataa hai.

Jab google search console me apki Website me crawl error jyada hota hai to google apki post ko index karne me pareshani hoti hai or backlink hone par bhi Google apki site ko rank nahi karwa pata crawl error ko aap simple language me apne Website ka virus bhi kah sakte hai Jo ki apki site ki ranking me bahut si problem create karta hai agar ap blog par high traffic or top rank laana chahte hai to apko apni site crawl errors ko fix karna jaruri hai uske bad hi ap apni site ko rank kar paoge.

Site Crawl Errors Ke Nuksan

  1. Isse aapke site ki ranking down ho sakti hai
  2. Crawl error se traffic lose ho sakta hai
  3. Apki blog post index hone me time lag sakta hai
  4. Broken link badh jaane se SEO kharab ho sakta hai

Google Search Console Me Site Crawl Errors Fix Kaise Kare?

Google search console me ap last 90 day ka hi crawl error dekh sakte ho or fix kar sakte ho.

Google Search Console Me Site Crawl Errors Fix Kaise Kare?
This images from Support Me India

1. Sabse Pahle apko Google Search Console me jaa kar apna account login karna hoga

2. Ab us website ke URL par click kare jisme aap crawl error fix karna chahte hai, aur baadme sidebar manu me aapko option dikhenge.

3. Ab sidebar manu open karke Crawl ko select kare, select karte hi drop-down manu open hoga.

4. Apke samne kuch option open hoge usme Crawl Errors par click kare

5. Ab apke samne 2 option aayege Desktop / Smartphone dono me apke website me jitne crawl error hoge vo show hoge

6. Sabhi crawl error ko tick kar dijiye aur MARK AS FIXED Par click kar dijiye

Is tarah aj apne google search console se all site crawl errors remove kar sakte hai or apne blog ke ranking me improvement la sakte hai.
Ye Post Raghuveer Charan Ji ne likhi hai jo Help Guru Group ke owner hai, aur unki ye pehli Guest Post hai.

12 टिप्‍पणियां:

  1. bhai mara ek site hai allodiasongs.com but trafic jyada nehi hai aur uske sath bahut sari error aa jata hai site console pe kya karu mein please help me

    जवाब देंहटाएं
  2. aapki site wordpress ya blogger platform par nahi warna aapko jyaada kuch bataa paata, song music ki site hai to aap keyword research aur permalink aur quires par jyaada focus kare iske baare me mene apni site me kuch articles likhe hai, aur post me quires ka jarur upyog kare..

    जवाब देंहटाएं
  3. bhai mujhe aaj tak iske bare me pta nhi tha apni kafi ache knowledge share ko

    जवाब देंहटाएं
  4. Sir you wrote very well. And you offer always quality tips. So Sir, I always visit your site. Thanks for sharing this great article.

    जवाब देंहटाएं
  5. बहुत ही बढ़िया उपयोगी जानकारी शेयर की है आपने

    जवाब देंहटाएं