शुक्रवार, 24 जनवरी 2020

Off Page SEO Kya Hai? Off-Page SEO Kaise Kare?

Off Page SEO Optimization, Aap sabhi ko pata hi he blogging me traffic laana bahoti important chiz hai, Aur traffic Ke liye SEO bahoti Jaruri he isliye Aaj ham Off Page SEO Optimization Ke baare me yahape discussion karenge, ye post me top 15 technique for Off-page SEO ki madad se apni site ki DA PA aur Keyword Ranking aur traffic me bahoti badlaav la paaoge.

Off page seo kya hai aur off page seo kaise kare

SEO ke main 2 parts hai pehla hai On Page SEO aur Dusra hai Off page seo.

Friends hamne pehle On Page SEO Ke baare me Bhi jaana tha Jo Post ko seo friendly Banane me bahoti Madad karta he ussi tarah yahape ham jaanenge ki Off Page SEO Ka importance Kya hai.

Articles Likhna Aur Quality Content likhna hamne thoda bahot sikh Bhi liya aur bahot Kuch sikhna baaki bhi he.

Off-Page SEO Kya Hai? (What is off page SEO)

Iska main base clear kardu ki off page SEO matlab ki yahape post/page se related nahi he ye Hamare blog Ke post Ke bahar Ke bhaag se related he, matlab ki isko aap post karne ke baad ka SEO keh sakte hai.

Yaaniki ham Jo Bhi Post SEO Friendly Banane Ke alawa blog ko SEO Friendly Banane ki Techniques apnaate he wo Hai off page optimization.

Dosto Off-page seo Optimization Karne se pehle aapka On Page SEO majbut hona jaruri he aap in dono ko saath me Bhi kar sakte ho.

Off-Page SEO Kaise Kare? Top 15 Techniques

Blog Ki Traffic badhane Ke liye aur site rank ya keywords rank karwane ke liye Off-Page SEO bahoti helpful hai aur har top bloggers iska kaafi istmaal karte hai jisse competition me bhi tike rehte hai. ye top 15 techniques jisse aap kaafi achi traffic aur rank bana paaoge aur DA PA ko bhi high kar paaoge.

1. Link Baiting (Link Exchange)

Ye kaafi achha tarika he traffic paaneka aur Off page seo optimization Karne Ka aapki Jo link he wo dusra blogger uski post me daalta he aur aap uski links apni post me daalte ho isse visitors Bhi related knowledge gain kar sakenge aur traffic me dono ko faayda hoga.

Link exchange Karne Pe hame Backlink Bhi milti he Ye Bhi har ek blogger Ke liye important chiz he aur uske followers Bhi hame milte he ye Bhi ek bada iska advantage he.

2. Question & Answer Forum

Kaafi achhi chiz he Isme Dusre logo ki help Bhi hogi aur aapke blog Ka promotion Bhi hoga ese bahot se aapko Google Pe question answer form mil jaayenge jisme aap dusro ki aapke subject Ke related help kar sakte ho.

Wahape alag alag prakar Ke questions puche gaye honge jahape aap unko samja sakte he aur apne post ki link Daal de isse kaafi achha promotion hoga, aapki backlink bhi increase hogi jisse DA PA me achha badlaav dikhega.

3. Blog Template/Theme

Off page seo optimize Ke liye blog speed aur blog ki theme achhi Honi jaruri he jitni aap SEO Friendly theme use karoge utna aapka Search rank achha banega, aur visitors ko Bhi achha lagega jitna look achha hoga utna aapka visitors Ka attraction badhega.

Jitna ho sake Mobile Friendly, Fast Loading template rakhe bahoti important chiz he ye Bhi apne blog Ke liye.

Aur ye Bhi he template me post Ke niche Sharing buttons Bhi lagaye isse agar Kisiko post achhi lage to share Bhi kar sake.


Template/Theme Related Topics :


4. Image/Photo Sharing

Ye thoda ajib lagega lekin agar aap koi Shayari images me Likhke Instagram, flickr aur pinterest jese social apps Pe share Karte ho to kaafi achha traffic milega.

Image me aap apne image ki link aur name add karo agar aapka image viral Bhi ho jaata Hai to samjlo 5000 jitne visitors ho jaaye sayad usmese 100 log dekhe to Bhi bahot badlaav milega.

Wo 100 visitors mese 30 logo ko aapki site pasand Aaye to aapko kitna faayda ho sakta he ye aap soch Bhi nahi sakte he.

5. Use Social Media Networks

Kaafi important baat he ye off page seo ke liye Agar aap apni site ki achhe se publicity karna chaahte ho to Facebook, WhatsApp, Twitter, Google+, LinkedIn & Instagram Ka use kar sakte ho.

Facebook Group banake share karo, Fb page banake share karo, Google+ community banake share karo, WhatsApp Broadcast aur group banake share karo isse aapko kaafi achha badlaav dekhne ko milega.

6. Forum Signatures

Yaaniki aap apni site ki link Dusre forums me comment Karte ho questions Bhi puchte ho to aapko wahase bhi backlink milegi aur aapke visitors Bhi badhenge kyuki aap ek achha kaam kar raheho.

7. Question & Answer Forum

Bahoti site Questions aur answer ki suvidhae deti he wahape link daalke aap unse apne blog Ka review Bhi le sakte ho aur Answer Bhi de sakte ho ya questions Bhi puch sakte ho.

Off Page SEO Ki Top 15 Latest Techniques 2020

8. Guest Posting

Ese bahot si high ranking sites he Jo guest post ko accept karti he jahape guest post Karne Pe aapko uski traffic Bhi milega aur backlink Bhi milegi aap aur jaankari dekhna chahte he to aap BHT ki site Ka review kar sakte ho.
9. Comment Link

High rank waale blog Pe comments Kare iske liye simple example he WordPress blog jisme aap easily site URL, Name aur email Daal sakte ho aur comment approve Karne Pe aapki Direct blog ki link milti he jisse traffic Bhi aati he aur backlink Bhi milti Hai, aur ye kahi comment me se to aapko dofollow backlinks bhi mil sakti hai.
10. Social Bookmarking

Isko blogger ab jyada important to nahi dete lekin Dosto agar aapka article Kuch Naya he to log dead karna pasand jarur karenge aur aap achhi traffic Bhi pa sakte ho aapka post logo Ke liye interesting hona jaruri he.
11. Submit Your Site In Blog Directory

Dosto agar aap Blog Directory ki madad se apna traffic badhana chahte ho to Bhi badha sakte ho.

Agar aap English blogger ho to aapko bahot saari high authority directory mil jaayegi.

Hindi blogger Ke liye alag alag web directory find karni padti jisme se best High authority waali Indian web directory bhi he jiska Name he Indiblogger aur dusri international site he jiska Naam he alltop Jo keyword ranks karwaane me kaafi helpful saabit hogi to jarur inn jesi sites ka use kare jisse aapki DA PA badhe aur site ki post ki ranking bane.

12. Submit In Search Consoles

Sabse khaas baat aur important topic ki abhitak aapne Apne blog ko search console me submit nahi kiya Jeseki Google Search Cosole, Bing Search Console, yendex search console etc to jald se jald apne blog ko submit kare.(Most IMP In Off Page SEO)

13. Pramote With Video

Kaafi achha tarika he Dosto agar aap ek youtube channel banate ho to iski madad se aap description me blog ki link daalke aur video me link daalke apne site ki traffic badha sakte ho.

Agar dusra koi YouTube channel he aur wo Ask Questions episode uploads Karte he jisme Hamare blog Ke promotion Bhi Karte isse Bhi aapki traffic improve hogi.

14. Add Sitemap

Apne blog ki Jo Bhi categories vagera he uska aap Sitemap generate karke search console me submit karna hoga Jisse aapko kaafi achha off page SEO result milega.
15. Manually Index Post

Off page SEO me ye Bhi bahot madadrup hota he jisme ham crawl se manually Fatch as Google karke post ko fast index karke jaldi Google search me laate he kaafi achha tarika he off page SEO me good result laane Ke liye.

Conclusion

To Dosto ye Thi off page SEO techniques Jisse aap apne blog ko high rank pe la sakte ho aur kaafi achhi traffic bana sakte ho, aur post ke keywords ki bhi iski madad se kaafi achhi rank karwa sakte ho, jisse aapke blog ki DA PA me kaafi achha badlaav laa sakte ho.

Me ummid kartaa hu ki aapko off-page SEO kya hai? aur off page SEO optimization kaise karate hai? ye puraa samaj me aa gaya hoga to achha laga ho to share aur blog ko subscribe jarur kare.

11 टिप्‍पणियां:

  1. Bohot acccha post hai Vivek bro. Mujhe aisa hi post ka intejar tha bohot dino se.

    जवाब देंहटाएं
  2. If I share my post on reddit and stumbleUpon how much traffic can I get ?

    जवाब देंहटाएं
  3. ye aapke upvotes ke upar depend karta hai jitne achhe aapko upvotes milenge utnaa hi achha traffic milega

    जवाब देंहटाएं
  4. Pata nahi honge lekin isse achha hai manual banaiye web directory se keyword, meta tag, description vagera add kar paaoge to aapko kaafi achha result milega...

    जवाब देंहटाएं
  5. Seo ke bare me aapne bahut acchi Jankari De Hai iske liye bahut bahut thanks

    जवाब देंहटाएं